Kalma Tayyab Kya Hai?
Islam mein 5 farz hain, un mein se ek hai Kalma Tayyab. Jo ki Islam ka pehla rukun hai. Ye Kalma musalmano ke iman ka buniyadi hissa hai aur Islam mein dakhil hone ka pehla pehla kadam hai. Ye Kalma bohot ahem hai isliye hame ise rojana apne jindegi ke amal mein lana chahiye. Roz har waqt is Kalma ka zikar karna chahiye.
Pehla Kalma Tayyab
Kalma Tayyab Islam ka pehla Kalma hai. Ye musalmano ke liye bohot ahem aur buniyadi Kalma hai jo har musalman ko yaad hona chahiye. Pehla Kalma Tayyab hume Allah aur uske Rasool ka yaqeen dilaata hai aur hame sahi rasta dikhata hai.
Kalma Tayyab Ki Fazilat
Ek hadis se mafun hai ki, ek dafa Allah subhanahu tala ne Musa alasslam se farmaya ki agar ek parle mein puri kayanat rakh di jaye aur dusri parle mein La ilaha illallah rakh di jaye to La ilaha illallah wala parla bhari hoga. Jo shakhs is hal pe mare ke jise La ilaha illallah ka ilm ka yakeen ho to wo Jannat mein jayega. Yani jiski La ilaha illallah pe jindegi guzri aur uspe maut ayi wo Jannat mein jayega.
Jab banda sachhe dil se La ilaha illallah kehta hai to iske liye asman ke darwaje khol diye jate hain yahan tak ke wo arsh tak pahuch jata hai bas shart ye hai ke wo kabira gunah se bachta raha ho. La ilaha illallah sabse afzal zikr hai lihaza sote, jagte, uthte, baithte, hamesha iski zikr karte rehna chahiye. Ek martaba La ilaha illallah kehne se Jannat mein ek darakht laga diya jata hai.
Kalma Tayyab Ka Lafz Lafz Ka Matlab
La ilaha illallah muhammadur rasulullah
Tarjuma: Allah ke siwah koi mabud nahin aur Hazrat Muhammad sallehlahu alehi wasallam Allah ke Rasool hain.
Kalma Tayyab Ka Maqsad
Kalma Tayyab ka maqsad ye hai ki Allah ke siwah koi ibadat ke layak nahin, lihaza hame bas Allah hi ka ibadat karna chahiye kyunki Allah hi hai jo zameen aur asmano ko banaya hai. Kalma Tayyab musalmano ki pehchan hai aur isko dil se kabool karna chahiye aur zuban se izhar bhi karna chahiye kyunki ye iman ka buniyadi rukun hai.
Kalma Tayyab Padhne Ka Sahi Tareeqa
Jaise baki kalimat parhe jate hain usi tarah parha jayega. Lekin La ilaha illallah bohot ahem kalimat hai to iska zikar hamesha karna chahiye. Sone se pehle kare aur jab nid se jage to ye kalam parhke apne iman ka izhar kare. Chalte phirte isko apne zikr mein shamil kare.
Kalma Tayyab Ki Ahmiyat Quran Mein
Kalma Tayyab ki ahmiyat Quran mein bohot zyada hai. Quran mein is kalma ko bohot afzal bataya gaya hai. Ye Kalma humein shirk se door rakhta hai aur tauheed ka dars deta hai.
Kalma Tayyab Ki Ahmiyat Hadith Mein
Ismail-bin-Ibrahim (ibn-e-Ulayh) ne Khalid se riwayat ki, unhone kaha: Walid-bin-Muslim ne mujhe Humran se, unhone Hazrat Usman (razi Allahu anhu) se riwayat ki, kaha: Rasulullah ﷺ ne farmaya: “Jo shakhs mar gaya aur wo (yaqeen ke sath) jaanta tha ke Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahin, wo Jannat mein daakhil hoga.”
Unhone kaha, “Ya Rasulullah! Qiyamat ke din aap (sallallahu alaihi wasallam) ki shafa’at se sabse zyada sa’adat kise milegi?” To Rasulullah (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya, “Ae Abu Huraira (razi Allahu anhu), mujhe yaqeen tha ke tum se pehle koi iske baare mein mujhse daryaft nahi karega. Kyunki maine hadith ke mutalliq tumhari lalach dekh li thi. Suno! Qiyamat mein sabse zyada faizyab meri shafa’at se wo shakhs hoga jo sachche dil se ya sachche dil se ‘La ilaha illallah’ kahega.”
Kalma Tayyab Ka Har Din Padhna
Kalma Tayyab ka har din padhna bahut ahem hai, yahan tak ke hame har waqt parhna chahiye. Kyunki iski fazilat bahut hai jannat ke darwaze khol diye jate hain. Ye sabse ahem zikr hai, La ilaha illallah parhne se jannat mein ek darakht laga diya jata hai. Aur jo shakhs marte waqt apne zuban mein ye kalma lekar mare use jannat naseeb hoti hai. To lahaja dekha jaye to iski bohot si fazilat hai isliye ise hame rojana apne amal mein lana chahiye dil bhi iqrar kare aur zuban se bhi.
For more Islamic information and detailed articles, visit Islamic Jankari.